gulo.n ko ra.ng chaman ko bahaar detaa hai

Ramzan Haidar Firdausi
MORE BYRamzan Haidar Firdausi
gulo.n ko ra.ng chaman ko bahaar detaa hai
vahii KHudaa hai jo hastii sa.nvaar detaa hai
ho naqsh kisī pe jab laa alah illaa allāh
ubuudiyat ko maze phir hazaar detaa hai
nisaar aql hai maulaa kii be-niyaazii par
vo musht-e-KHaak ko ’izz-o-vaqaar detaa hai
hariim-e-jaa.n me.n hai raushan charaaG vahdat kaa
vahii nigaaho.n ko jalve hazaar detaa hai
zuhuur-e-jalva-e-vahdat hai har gha.Dii lekin
kisii kisii kii nazar ko vaqaar detaa hai
sharaab-e-shauq-e-ziyaarat pilaa-pilaa kar vo
kHayaal-e-rind ko kaif-o-kHumaar detaa hai
chhupaa chhupaa ke hamaare ’uyuub duniyaa me.n
vo mulhlate.n to hame.n baar-baar detaa hai
usii ke hukm se shams-o-qamar kii hai harkat
vahii to farsh zamii.n ko qaraar detaa hai
qadam qadam pe na taariikiyo.n se Dar 'haidar'
vo zulmato.n me.n ujaale utaar detaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.