Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

vaj.h-e-hayaat-e-diin shahaadat husain kii

Ramzan Haidar Firdausi

MORE BYRamzan Haidar Firdausi

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسین علیہ السلام (کربلا-عراق)

    vaj.h-e-hayaat-e-diin shahaadat husain kii

    ummat bachaa ga.ii hai imaamat husain kii

    aa.e.n jahaa.n aabid-o-zaahid ba.De ba.De

    sab se judaa hai shaan-e-ibaadat husain kii

    aal-e-nabii hai.n aal-e-'abaa bhii husain hai.n

    laazim hai is liye to mohabbat husain kii

    ’ishq-e-kalaam-e-paak kaa 'aalam na puuchhiye

    zer-e-sinaa.n thii jaarii tilaavat husain kii

    qurbaan jag-jahaan hai qadam-e-imaam par

    jannat bhii hogii zer-e-siyaadat husain kii

    aaGosh me.n uThaa liyaa KHutba ko chho.Dkar

    is qadr thii nabii ko mohabbat husain kii

    tanhaa hii DaT gayaa ho sagaan-e-yaziid se

    'haidar' hai mere saath himaayat husain kii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now