Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

’ibaadat rab kii kar bande riyaazat rab kii kar bande

Ramzan Haidar Firdausi

MORE BYRamzan Haidar Firdausi

    ’ibaadat rab kii kar bande riyaazat rab kii kar bande

    hamesha KHauf khaa us kaa hamesha us se Dar bande

    mai-e-tauhiid kii mastii KHudaa masto.n se puuchhaa kar

    maze qurb-e-KHudaa ke lauTte hai.n kis qadar bande

    zamii.n par ne.amate.n us kii nigaahe.n KHiira kartii hai.n

    falak par us ke jalve hai.n uThaa apnii nazar bande

    vahii hai qaadir-e-mutlaq usii ke hukm ke paaband

    zamiin-o-aasmaa.n huur-o-malak shams-o-qamar bande

    shah-e-abraar kii hastii daliil-e-vahdat-e-baarii

    nahii.n un se ba.De ko.ii jahaa.n me.n mo'atabar bande

    anaa kaa jaam mat piinaa fanaa kaa KHauf mat khaanaa

    fanaa me.n hai baqaa muzmar anaa hai ek shar bande

    na ho us se kabhii Gaafil lagaa apnaa usii se dil

    vahii big.Dii banaataa hai usii ko yaad kar bande

    huruuf-e-’ijzz kyaa karte sanaa-e-sarmadii 'haidar'

    agar allaah chaahe to u.De be-baal-o-par bande

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now