aa ga.e dekh KHairul-bashar Gam na kar
aa ga.e dekh KHairul-bashar Gam na kar
pa.D ga.ii tujh pe un kii nazar Gam na kar
manzil-e-qabr se Dar gayaa kis liye
qabr me.n ho.nge vo jalva-gar Gam na kar
un ke lutf-o-karam kii ko.ii had nahii.n
rab kii rahmat hai.n vo sar-ba-sar Gam na kar
dekh zaKHmo.n se chhalnii agar tuu hu.aa
sab se achchhe hai.n vo chaara-gar Gam na kar
gar yahaa.n haal teraa na puuchhe ko.ii
KHud vo rakhte hai.n terii KHabar Gam na kar
rab kii pahchaan kii gar tujhe aas hai
ban jaa aarif unhe.n dekh kar Gam na kar
tuu bhaTak jaaye raste se mumkin nahii.n
mustafaa hai.n tire raahbar Gam na kar
maa.ng jo maa.ngtaa hai milegaa tujhe
markaz-juud hai un kaa dar Gam na kar
thaam dil ko aur ashko.n se aa.nkho.n ko dho
aa gayaa dekh taiba nagar Gam na kar
Gam-zado.n ke vo jab KHud madad-gaar hai.n
ab to KHush ho 'razii' Gam na kar Gam na kar
un se mazbuut nisbat hai terii 'razii'
tere murshid hai.n un ke pisar Gam na kar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.