Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo naam-e-Gaus-e-aa'zam dil se bhii dohraane lagte hai.n

Riyaz Ahmad

MORE BYRiyaz Ahmad

    jo naam-e-Gaus-e-aa'zam dil se bhii dohraane lagte hai.n

    maqaam-e-sirr-e-il-lallaah ko vo paane lagte hai.n

    mohabbat se hame.n ye auliyaa samjhaane lagte hai.n

    mahakte hai.n jo pahle KHud vahii mahkaane lagte hai.n

    navaazaa is qadar rab ne hai mere piir-e-piiraa.n ko

    samaate hai.n valii daaman vo jab phailaane lagte hai.n

    KHudaa-yaa Gaus-e-aazam kaa banaa de aisaa diivaana

    jise mastii me.n aane ko ka.ii maiKHaane lagte hai.n

    mirii siirat mirii suurat mirii hastii mirii haalat

    jo dekhe kah de ye to Gaus ke diivaane lagte hai.n

    maqaam-e-Gausiyat kyaa hai ye ek muftii ne samjhaayaa

    jo dil aate hai.n dar par Gaus ke nazraane lagte hai.n

    ko.ii 'aalam ko dekhe jo pahu.nch kar un kii chaukhaT par

    kabhii ghabraane lagte hai.n kabhii itraane lagte hai.n

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 201)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now