Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHaaliq-e-yaktaa ne jo servar ko yaktaa kar diyaa

Riyaz Ahmad

MORE BYRiyaz Ahmad

    Interesting Fact

    مقنبت درشان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)

    KHaaliq-e-yaktaa ne jo servar ko yaktaa kar diyaa

    is liye shabbiir ne yaktaa hii sajda kar diyaa

    ye karishma ibn-e-haidar ne anokhaa kar diyaa

    karbalaa ko ek sajde me.n mua.allaa kar diyaa

    kar na paatii saarii duniyaa jo mire shabbiir ne

    karbalaa kii sarzamii.n par kaam tanhaa kar diyaa

    ye bhii andaaz-e-vafaa kii kyaa hasii.n tamsiil hai

    jo kiyaa naanaa se va.ada us ko puuraa kar diyaa

    hashr tak sharmindagii hotii rahegii dekhnaa

    kuufiyo mehmaa.n banaa kar tum ne dhokaa kar diyaa

    haa.n vaqaar-e-maz.hab-e-islaam ko shabbiir ne

    aur uu.nchaa aur uu.nchaa aur uu.nchaa kar diyaa

    tiir khaa kar muskuraanaa kaam ye aasaa.n na thaa

    hazrat-e-asGar ne 'aalam ye bhii ’umda kar diyaa

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 206)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now