Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

saanii-e-badruddujaa sher-e-KHudaa kuchh aur hai

Riyaz Ahmad

MORE BYRiyaz Ahmad

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف-عراق)

    saanii-e-badruddujaa sher-e-KHudaa kuchh aur hai

    ramz-e-illalalaah me.n mushkil-kushaa kuchh aur hai

    faatih-e-KHaibar shah-e-gulguu.n qabaa mushkil kushaa

    ai mire maulaa 'alii tuu baa-KHudaa kuchh aur hai

    pochhiye KHaibar se kiyaa bhaarii 'alii kii zarb hai

    haq mire maulaa 'alaa kaa hausla kuchh aur hai

    zarb-e-haidar yak-yad-e-ilaahii ba-marhab KHaak kun

    zulfiqaar-e-haidarii shud ma.arka kuchh aur hai

    dosh-e-ahmad par 'alii ka.abe ke andar dekhiye

    ye KHudaa ke ghar ke andar mo.ajiza kuchh aur hai

    KHaandaa.n hai.n yuu.n to 'aalam me.n hazaaro.n hii magar

    KHaandaan-e-murtazaa kaa martaba kuchh aur hai

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 209)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now