aa.nkhe.n khul jaa.e.n jo zaahir ho maqaam-e-vaaris

Riyaz Khairabadi
MORE BYRiyaz Khairabadi
aa.nkhe.n khul jaa.e.n jo zaahir ho maqaam-e-vaaris
kaan ho jaa.e.n jo sun le ko.ii naam-e-vaaris
jaam kausar ke na vaa.iz sar-e-mahfil chhalkaa
ham qadah-KHvaar pa.e baiThe hai.n jaam-e-vaaris
ho mohabbat to nahii.n kaafir-o-dii.ndaa me.n farq
hai yahii ishq ke bando.n se payaam-e-vaaris
vo bhii is tarah unhe.n yaad-e-nasheman na chaman
taa.ir-e-dil hai.n hazaaro.n tah-e-jaam-e-vaaris
ho qayaamat na kahii.n paa-e-nazar se paamaal
mirii aa.nkho.n me.n hai andaaz-e-KHiraam-e-vaaris
dhuup pa.Dne nahii.n detaa hai adab se KHurshiid
saaya-e-arsh-barii.n hai sar-e-baam-e-mohabbat
buu-e-gul jaa bhii yahaa.n kaam nahii.n hai teraa
ki baas aur hii buu se hai mashaam-e-vaaris
jaan pa.D jaatii hai iimaan kaa sharaf miltaa hai
kalma pa.Dhte hai.n ye but sun ke kalaam-e-vaaris
gul piye.n dho ke nasiim-e-saharii ke talve
ye madiine ko jo le jaaye salaam-e-vaaris
sard se us kii bulandii ko.ii hogii sau sard
daur-e-tuubaa hai ki hai gumbad-e-baam-e-vaaris
sadqe me.n saaqii-e-kausar ke du.aa ho ye qubuul
naza.a me.n pyaas bujhaa.e mai-e-jaam-e-vaaris
nigah-e-lutf kaa taalib hai riyaa-kaar 'riyaaz'
go riyaa-kaar hai lekin hai Gulaam-e-vaaris

- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 102)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.