Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo ek pal bhii Thahar kar mustafaa ke dar se jaataa hai

As'ad Rabbani

MORE BYAs'ad Rabbani

    jo ek pal bhii Thahar kar mustafaa ke dar se jaataa hai

    to yuu.n mahsuus karataa hai ki apne ghar se jaataa hai

    samundar maujzan karataa hai dil me.n ishq-o-irfaa.n ke

    jo qatra mai kaa chashm-e-saaqii-e-kausar se jaataa hai

    Guruur-o-fazl ik qaalib me.n to hargiz nahii.n rahte

    idhar ik sar se aataa hai udhar ik sar se jaataa hai

    madiina tak pahu.nchtii hai.n tariiqat kii sabhii raahe.n

    KHudaa ke ghar kaa rasta mustafaa ke ghar se jaataa hai

    nigaahe.n gumbad-e-kHazraa pe yuu.n markuuz hotii hai.n

    nazar kaa zauq duniyaa ke har ik manzar se jaataa hai

    na kyuu.n naam-e-'alii se mushkilo.n ke dar khule.n 'as.ad'

    ki istehkaam saaraa jab dar-e-KHaibar se jaataa hai

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 59)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now