ruKH pe rahmat kaa jhuumar sajaa.e kamlii vaale kii mahfil sajii hai

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
ruKH pe rahmat kaa jhuumar sajaa.e kamlii vaale kii mahfil sajii hai
mujh ko mahsuus ye ho rahaa hai un kii mahfil me.n jalva-garii hai
naa't husn-e-shah-e-dosraa hai naa't hii zikr-e-rabb-ul-'ulaa hai
naa't likhnaa merii zindagii hai naa't pa.Dhnaa merii zindagii hai
'aashiqo tum agar chaahte ho ho ziyaarat dar-e-mustafaa kii
dil kii jaanib nigaahe.n jhukaa lo saamne mustafaa kii galii hai
mujh ko fikr-e-shafaa'at ho kyuu.n-kar vo kariimo.n kaa saaya hai sar par
ik taraf rahmat-e-mustafaa hai ik taraf lutf-e-maulaa-'alii hai
vo samaa.n kaisaa ziishaan hogaa jab KHudaa mustafaa se kahegaa
ab to sajde se sar ko uThaa lo aap kii saarii ummat barii hai
vaasta sayyad-e-karbala kaa vaasta faatima kii ridaa kaa
merii jholii bhii sarkaar bhar do aap ne sab kii jholii bharii hai
jab na aa.e the vo shaah-e-shaahaa.n suunii-suunii thii ye bazm-e-imkaa.n
un ke aane se raunaq hu.ii hai un ke aane se big.Dii banii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.