saa.e me.n tumhaare hai.n qismat ye hamaarii hai

qurbaan dil-o-jaa.n hai.n kyaa shaan tumhaarii hai
kyaa pesh karuu.n tum ko kyaa chiiz hamaarii hai
ye dil bhii tumhaaraa hai ye jaa.n bhii tumhaarii hai
naqsha tiraa dilkash hai suurat tirii pyaarii hai
jis ne tumhe.n dekhaa hai sau jaan se vaarii hai
go laakh bure hai.n ham kahlaate tumhaare hai.n
ik nazr-e-karam karnaa ye 'arz hamaarii hai
ham chho.D kar is dar ko jaa.e.n to kahaa.n jaa.e.n
ik 'umr tumhaare hii Tuk.Do.n pe guzaarii hai
'taajii' tire sajde se zaahid ko jalan kyuu.n hai
qudrat ne jabii.n-saa.ii qismat me.n utaarii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.