saamne jab bhii yaar hotaa hai
dil par kab iKHtiyaar hotaa hai
ruu-e-jaanaa.n hii ahl-e-dil ke liye
zikr-e-parvardigaar hotaa hai
mariiz-e-'ishq kaa aksar ye haal hotaa hai
kisii kii yaad se chehra bahaal hotaa hai
mai.n is ko kufr kahuu.n yaa kamaal-e-'ishaq kahuu.n
namaaz me.n bhii tumhaaraa KHayaal hotaa hai
na but-kade se na kaa'be se lau laagii merii
tumhaare naqsh-e-qadam se hai zindagii merii
bahut udaas thii duniyaa me.n zindagii merii
karam jo teraa hu.aa baat ban ga.ii merii
sahaaraa tum ho to kis liye phir
mai.n sar pe ehsaan luu.n kisii kaa
rahe salaamat ye Gam tumhaaraa
yahii asaasa hai zindagii kaa
tiraa 'ishq jo na hotaa to ye bandagii na hotii
jo tiraa karam na hotaa to ye zindagii na hotii
rahe salaamat ye Gam tumhaaraa
yahii asaasa hai zindagii kaa
vo bad-nasiib hai jise Gam naa-gavaar hai
Gam to daliil-e-rahmat-e-parvardigaar hai
rahe salaamat ye Gam tumhaaraa
yahii asaasa hai zindagii kaa
mujhe dekhtaa hai jo bhii kahtaa tiraa diivaana
nisbat na tujh se hotii mirii zaat hii na hotii
rahe salaamat ye Gam tumhaaraa
yahii asaasa hai zindagii kaa
mai.n niyaaz-mand teraa banda-navaaz tuu hai
tere karam se merii duniyaa me.n aabruu hai
rahe salaamat ye Gam tumhaaraa
yahii asaasa hai zindagii kaa
mai.n qurbato.n me.n bhii shaadmaa.n thaa
mai.n furqato.n me.n bhii mutma.in huu.n
thaa vo bhii in'aam aap hii kaa
hai ye bhii tohfa janaab hii kaa
Guruur-e-shaahii hamesha mai.n ne
rakhaa hai paa.nv kii Thokaro.n me.n
maqaam sab se judaa hai meraa
ki mai.n huu.n ma.ngtaa terii galii kaa
bas mai.n huu.n ma.ngtaa terii galii kaa
maa.ngnaa mai.n ne dar-dar se siikhaa nahii.n
dair-o-haram me.n jaa.uu.n kyuu.n
tuur kii KHaak u.Daa.uu.n kyuu.n

duniyaa-e-but-kada na fazaa-e-haram pasand
mujh ko tirii galii hai KHudaa kii qasam pasand

mai.n yahii.n karuu.ngaa sajda yahii meraa mudda.aa hai
jo milaa nahii.n haram se tere dar se mil gayaa hai

haath phailaane se muhtaaj ko Gairat ye hai
sharm itnii hai ke banda teraa kahlaataa huu.n

ye maan liyaa laa.iq-e-darbaar nahii.n mai.n
ye bhii na sahii qaabil-e-diidaar nahii.n mai.n
har chand agar aap ke darkaar nahii.n mai.n
banda bhii teraa kyaa merii sarkaar nahii.n mai.n

tere Tuk.Do.n pe palaa Gair kii Thokar pe na Daal
jhi.Dkiyaa.n khaa.uu.n kahaa.n chho.D ke sadqa teraa

ko.ii saliiqa hai aarzuu kaa na bandagii merii bandagii hai
ye sab tumhaaraa karam hai aaqaa ke baat ab tak banii hu.ii hai

ke mai.n huu.n ma.ngtaa terii galii kaa
hai KHush muqaddar ke jis ne sar ko
jhukaayaa murshid ke aastaa.n par
usii ne paa.ii hai sarfaraazii
maqaam uu.nchaa rahaa usii kaa
agar hai jaanaa to jaa.e.n lekin
huzuur itnaa KHayaal rakhe.n
ki hijr-e-jaanaa.n me.n ek-ik pal
gumaan hotaa hai ik sadii kaa
ravaa.n ho gardan pe garche KHanjar
KHalal na sajde me.n aa.e phir bhii
yahii 'ibaadat kaa hai qariina
yahii saliiqa hai bandagii kaa
tumhaarii mad.h-saraa.ii kar ke
mai.n naaz karataa huu.n apne fan par
tumhaare zikr-e-jamiil se hii
vaqaar qaa.im hai shaa.irii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.