saarii daulat KHudaa kii madiine me.n hai
saarii daulat KHudaa kii madiine me.n hai
taajdaar-e-zamaana madiine me.n hai
jin kii KHaatir banaa.e ga.e do-jahaa.n
vo rasuul-e-yagaana madiine me.n hai
tujh ko vaa'iz mubaarak haram kii fazaa
mai.n muKHaalif nahii.n huu.n tire zauq kaa
par yahaa.n meraa sajda ho kaise adaa
yaar kaa aastaana madiine me.n hai
aaftaab-e-do-'aalam madiine me.n hai
aamna kaa dulaaraa madiine me.n hai
husn puure kaa puuraa madiine me.n hai
'ishq saare kaa saaraa madiine me.n hai
Gam-zado Gam ke maaro madiine chalo
be-kaso be-sahaaro madiine chalo
uTTho ai dil-figaaro madiine chalo
rahmato.n kaa KHazaana madiine me.n hai
hai madiina me.n jalva-e-nuur-e-KHudaa
hai KHudaa bhii vahii.n ek jalva to kyaa
us ko dozaKH se kyaa kaam jis kaa hu.aa
do-gha.Dii bhii Thikaana madiine me.n hai
ham maa.ng rahe hai.n ham maa.ng rahe hai.n
din-raat madiine kii du.aa maa.ng rahe hai.n
ma.ngte hai.n karam un kaa sadaa maa.ng rahe hai.n
kam maa.ng rahe hai.n na sivaa maa.ng rahe hai.n
jaisaa hai Ganii vaisii 'ataa maa.ng rahe hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.