sab pe karam farmaa.e.nge baabaa aaj big.Dii banaa.e.nge
sab pe karam farmaa.e.nge baabaa aaj big.Dii banaa.e.nge
mere baabaa fariiduddiin aa.e.nge aa.e.nge aa.e.nge
sab kii vo jholii bhar jaa.e.nge
ai dil muraad-e-dil kah aane kii der hai
baabaa ke dar pe haath uThaane kii der hai
baabaa bhii saamne hai.n saabir bhii saamne
sab kuchh milegaa 'arz sunaane kii der hai
mil jaa.egaa KHudaa bhii KHudaa kii KHudaa.ii bhii
ga.nj-e-shakar ko apnaa banaane kii der hai
lete hai.n naam fariiduddiin
ye naam bhii kitnaa pyaaraa hai
imdaad ko vo aa jaa.e.nge
baabaa kaa naam pukaaraa hai
kar de.nge nazar le.nge vo KHabar
ham baabaa ke hai.n diivaane
sab pe karam farmaa.e.nge baabaa aaj big.Dii banaa.e.nge
nazdiik vo us ke rahte hai.n
jo yaad me.n un kii kho jaa.e
vo bhii is ke ho jaate hai.n
jo baabaa piyaa kaa ho jaa.e
sab pe hogii nazar baabaa ga.nj-e-shakar
vo to aa.e.nge laaj nibhaa.e.nge
sab pe karam farmaa.e.nge baabaa aaj big.Dii banaa.e.nge
tashriif vo laane vaale hai.n
mahfil me.n KHabar ye aa.ii hai
diidaar ke taalib baiThe hai.n
ye dil me.n aas lagaa.ii hai
vo zaruur aa.e.nge jalvaa dikhlaa.e.nge
raqs karte rahe.nge diivaane
sab pe karam farmaa.e.nge baabaa aaj big.Dii banaa.e.nge
pur-nuur hai suurat baabaa kii
bin dekhe ab jiinaa hai kaThin
baa-adab rahe.nge ham saaqii
yahii.n hai un kaa paakpatan
ab nahii.n ko.ii Gam aaj baiThe hai.n ham
un ke dar pe banaa ke Thikaane

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.