’aalim-e-’ilam-e-sharii.at hai banii haashim kaa chaa.nd

Aarzu Saharanpuri
MORE BYAarzu Saharanpuri
’aalim-e-’ilam-e-sharii.at hai banii haashim kaa chaa.nd
'itr-e-gulhaa-e-tariiqat hai banii haashim kaa chaa.nd
paikar-e-saada me.n sannaa’-e-haqiiqii kaa jamaal
shaahkaar-e-dast-e-qudrat hai banii haashim kaa chaa.nd
naaz-e-ja’far shaan-e-hamza saanii-e-haidar laqab
KHusrav-e-mulak-e-shujaa’at hai banii haashim kaa chaa.nd
jauhar-e-shamshiir-e-'uryaa.n zaiGam-e-dasht-e-vaGaa
zor-e-baazuu-e-imaamat hai banii haashim kaa chaa.nd
lauh-e-peshaanii vahii chashm-o-lab-o-aariz vahii
huu-bahuu haidar kii suurat hai banii haashim kaa chaa.nd
sho’ala-e-'ishq-e-saraapaa paikar-e-soz-e-tamaam
qalb-e-fitrat kii haraarat hai banii haashim kaa chaa.nd
zid pe aajaaye to tuufaano.n kaa siina chiir de
nafs-e-paiGambar kii quvvat hai banii haashim kaa chaa.nd
nik.hat-e-mahsuus jis kii mastii-e-jaam-e-valaa
vo gul-e-baaG-e-vilaayat hai banii haashim kaa chaa.nd
roz-e-avval se vafaa vaalo.n kii duniyaa kaa imaam
ruuh-e-iimaan-e-mohabbat hai banii haashim kaa chaa.nd
dil ke aa.iine jilaa paate hai.n jis kii aab se
vo dar-e-bahr-e-haqiiqat hai banii haashim kaa chaa.nd
jis kii haibat ke dilo.n par 'aam sikke hai.n ravaa.n
vo tajallii-e-jalaalat hai banii haashim kaa chaa.nd
ik husain ibn-e-'alii ibn-e-taalib hii kii kyaa
kul banii haashim kii 'izzat hai banii haashim kaa chaa.nd
us kii chaukhaT se tahii-daamaa.n ko.ii aataa nahii.n
naazish-e-ahl-e-saKHaavat hai banii haashim kaa chaa.nd
lab pe yuu.n aataa hai naam 'abbaas kaa ai 'aarzuu'
jaise ik paiGaam-e-rahmat hai banii haashim kaa chaa.nd

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 35)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.