soyaa nasiib kab miraa aaqaa jagaa.e.nge
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
soyaa nasiib kab miraa aaqaa jagaa.e.nge
qadmo.n me.n mujh Gariib ko kis din bulaa.e.nge
de.nge jaa.n KHushii se mohammad ke diin par
baatil ke aage ham na kabhii sar jhukaa.e.nge
aa.egaa vaqt gulshan-e-islaam par agar
ham is chaman ko KHuun-e-jigar se sajaa.e.nge
kahnaa dar-e-rasuul pe jaakar ai haajiyo
kab tak huzuur yaad me.n ham ko rulaa.enge
hogaa KHudaa kaa hukm to laa-raib shaan se
ik roz ham bhii dar pe mohammad ke jaa.e.nge
mahshar me.n dekhnaa tuu use vaa.iz mire huzuur
ham ’aasiyo.n ko saaGar-e-kausar pilaa.e.nge

- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.