Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kisii patthar pe ghisne se na aab-e-zar se jaataa hai

Sagheer Ahmad Farogh

MORE BYSagheer Ahmad Farogh

    kisii patthar pe ghisne se na aab-e-zar se jaataa hai

    gunah kaa daaG zikr-e-saaqii-e-kausar se jaataa hai

    havaa.e.n bosa letii hai.n nazaare raqs karte hai.n

    ko.ii vaapas jab apne ghar nabii ke dar se jaataa hai

    dar-e-sarkaar ke abr-e-karam kii baat mat puuchho

    barastaa hai ye jis dam to musalsal barse jaataa hai

    Gam-e-hijr-e-nabii aisaa anokhaa Gam hai har Gam se

    ye Gam ko.ii davaa se na ko.ii mantar se jaataa hai

    bahut aataa hai mujh ko yaad us dam gumbad-e-kHazraa

    kabuutar jab ko.ii ho kar mire chhappar se jaataa hai

    zamii.n se 'arsh par pahu.nche jab aaqaa tab hu.aa saabit

    KHudaa ke ghar kaa rasta mustafaa ke ghar se jaataa hai

    'faroG' aaqaa kaa ye paiGaam duniyaa ko sunaa do tum

    ki Dar duniyaa kaa siine se KHudaa ke Dar se jaataa hai

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 79)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now