mahkii-mahkii hu.ii fazaa hai aaj
mahkii-mahkii hu.ii fazaa hai aaj
raqs me.n rahmat-e-KHudaa hai aaj
sab kii aa.nkhe.n hai.n mahv-e-nazzaara
kaun mahfil me.n aa gayaa hai aaj
shahar me.n rahmate.n na kyuu.n barse.n
zikr-e-sarkaar jaa-ba-jaa hai aaj
hai tasavvur me.n gumbad-e-kHazraa
yaad-e-mahbuub kaa maza hai aaj
phir dayaar-e-nabii dikhaa maulaa
shauq-e-sajda machal rahaa hai aaj
mere chaaro.n taraf zahe qismat
un ke jalvo.n kaa daa.era hai aaj
kyuu.n na jii bha ke jaam luu.n ai 'faroG'
meraa saaqii pilaa rahaa hai aaj
mahkii-mahkii hu.ii fazaa hai aaj
raqs me.n rahmat-e-KHudaa hai aaj
sab kii aa.nkhe.n hai.n mahv-e-nazzaara
kaun mahfil me.n aa gayaa hai aaj
shahar me.n rahmate.n na kyuu.n barse.n
zikr-e-sarkaar jaa-ba-jaa hai aaj
hai tasavvur me.n gumbad-e-kHazraa
yaad-e-mahbuub kaa maza hai aaj
phir dayaar-e-nabii dikhaa maulaa
shauq-e-sajda machal rahaa hai aaj
mere chaaro.n taraf zahe qismat
un ke jalvo.n kaa daa.era hai aaj
kyuu.n na jii bha ke jaam luu.n ai 'faroG'
meraa saaqii pilaa rahaa hai aaj
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.