sahaaraa be-sahaaro.n kaa himaayat murtazaa kii hai
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)
sahaaraa be-sahaaro.n kaa himaayat murtazaa kii hai
har aa.De vaqt kaam aanaa ye 'aadat murtazaa kii hai
vilaayat murtazaa kii hai imaamat murtazaa kii hai
KHudaa ke fazl se har ik faziilat murtazaa kii hai
pasandiida KHudaa kaa kyuu.n na maqbuul-e-do-’aalam ho
daliil is qaul par KHud ma.anaviyyat murtazaa kii hai
shab-e-hijrat vo gahrii nii.nd phir aa’daa ke narGe me.n
ye jur.at murtazaa kii hai ye himmat murtazaa kii hai
gunah-gaaro na ghabraa.o kHayaal-e-roz-e-mahshar se
shafaa'at mustafaa kii hai himaayat murtazaa kii hai
su'uur-e-diid se hotaa hai 'irfaan-e-nazar paidaa
na jaane kitne pardo.n me.n haqiiqat murtazaa kii hai
'alii ko dekhtaa huu.n vaajib-o-mumkin ke jalvo.n me.n
har aa.iina mirii nazro.n me.n suurat murtazaa kii hai
mai.n us manzil me.n chal kar dekhtaa huu.n apne maulaa ko
jahaa.n man kunto maulaa se nisbat murtazaa kii hai
dikhaa duu.n chiir kar dil apnaa gar bas chal sake meraa
us aa.iine me.n kitnii saaf suurat murtazaa kii hai
tuulaa-e-'alii se hai hamaarii zindagii 'kaamil'
hamaaraa saaraa sarmaaya-e-mohabbat murtazaa kii hai

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 182)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.