sajde me.n dil jhuke to ye sar ko KHabar na ho

Tapke nazar se KHuun jigar ko KHabar na ho
din kii tajalliyo.n se mujhe ko.ii Dar nahii.n
ruudaad taar-e-shab kii sahar ko KHabar na ho
ishq-e-rasuul hai miraa sarmaaya-e-hayaat
Gurbat kii merii la.al-o-gohar ko KHabar na ho
tanhaa.iyo.n ko ko.ii bhii shohrat na chaahiye
mai.n is tarah rahuu.n mere ghar ko KHabar na ho
tum jab bhii yaad karte ho 'gauhar' ko pyaar se
aisaa nahii.n ke us ke jigar ko KHabar na ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.