Font by Mehr Nastaliq Web

darbaar-e-qamar hai ’ishq-e-nishaa.n yaa.n kaam nahii.n farzaano.n kaa

Sajjad Ahsan

MORE BYSajjad Ahsan

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت قمرالہدیٰ

    darbaar-e-qamar hai ’ishq-e-nishaa.n yaa.n kaam nahii.n farzaano.n kaa

    ye mehvar hai mai-KHvaaro.n kaa ye markaz hai diivaano.n kaa

    baTtii hai mai-e-tauhiid yahaa.n ye hubb-e-rasul kaa chashma hai

    sarshaar na ho.n sarmast na ho.n to is me.n qusuur ab apnaa hai

    jo Dhuu.nDne vaale hai.n un ko 'irfaan kii daulat miltii hai

    iimaan kii daulat miltii hai ehsaan kii daulat miltii hai

    raushan hai charaaG-e-KHizr yahaa.n jo sirr-e-KHafii kaa maz.har hai

    bhaTke.nge nahii.n bhuule.nge nahii.n ki 'ishq hamaaraa rahbar hai

    'sajjaad' ne apnii qismat ko vaabasta kiyaa hai is dar se

    jiinaa hai yahaa.n marnaa hai yahaa.n jaa.e.nge kahaa.n ham is ghar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now