saKHii kaa darbaar saj rahaa hai Gariib KHairaat paa rahe hai.n

Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
Interesting Fact
منقبت در شان داتا گنج بخش علی ہجویری (لاہور-پاکستان)
saKHii kaa darbaar saj rahaa hai Gariib KHairaat paa rahe hai.n
uTho ai ma.ngto ki mere daataa karam kii daulat luTaa rahe hai.n
nabii ke nuur-e-nazar hai.n daataa 'alii ke laKHt-e-jigar hai.n daataa
jo dar pe daataa ke aa rahe hai.n vo apnii big.Dii banaa rahe hai.n
jo tum ko jannat kii aarzuu hai Gulaamii daataa-piyaa kii kar lo
hai jannatii har Gulaam un kaa payaam taiba se aa rahe hai.n
ba.De hai.n laj-paal mere daataa ba.Daa saKHii hai gharaanaa un kaa
yahaa.n jo ban-ban ke ma.ngte aa.e vo shaah ban-ban ke jaa rahe hai.n
bharegii rahmat se un kii jholii milegii mahshar me.n sarfaraazii
adab se daataa-piyaa ke dar pe jo apne sar ko jhukaa rahe hai.n
tumhaarii nisbat ne mere daataa ye shaan baKHshii hai is zamii.n ko
tumhaare kuuche me.n har qadam par farishte aa.nkhe.n bichhaa rahe hai.n
har ek par hai.n karam kii nazre.n 'fanaa' mai.n daataa-piyaa ke sadqe
hamaarii auqaat kuchh nahii.n hai magar vo ham ko nibhaa rahe hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.