junuun-e-ishq kaa da.ava zaruur karte hu.e

chaluu.ngaa hashr me.n fakHr-o-Guruur karte hu.e
sanaa-e-ahmad-e-mukHtaar tak hu.aa huu.n risaa
ta.ayyunaat kii raahe.n ubuur karte hu.e
piyaa hai jaam-e-shahaadat kaa aal-o-itrat ne
nabii ke ishq me.n siine ko chuur karte hu.e
nazar me.n vaadii-e-taa.ef hai lab pe mad.h-e-nabii
KHirad ke sa.ng se zaKHmii shu.uur karte hu.e
tamaam umr guzaarii hai mad.h-e-sarvar me.n
munaafarat ko aqiidat kaa taur karte hu.e
sho'aa-e-nuur-e-nabii munkeriin tak pahu.nche
inhii ke qalb ko tanviir nuur karte hu.e
Gulaamii-e-shah-e-taiba pe faKHr hai mujh ko
mai.n jii rahaa huu.n sanaa-e-huzuur karte hu.e
jhukaa hai qalb-e-aqiidat se paa-e-sarvar par
sujuud bahar-e-kHudaa.e Gafuur karte hu.e
difaa.a-e-KHatm-e-nubuvvat me.n lutf aataa hai
malaamato.n ko bhii sa.ng-e-suruur karte hu.e
banaam KHatm-e-nubuvvat hai vaqf umr-e-ravaa.n
har ek fikr ko fikr-e-Gayuur karte hu.e
sar-e-niyaaz hai 'saaqib' kaa paa-e-aaqaa par
har ek shirk ke imkaa.n ko duur karte hu.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.