Sufinama

dekh lii taaqat jahaa.n ne narmii-e-guftaar kii

Saqib Khairabadi

MORE BYSaqib Khairabadi

    dekh lii taaqat jahaa.n ne narmii-e-guftaar kii

    ab zaruurat hii kahaa.n hai tiir kii talvaar kii

    apnaa ehsaa.n momino.n par kyuu.n na jatlaataa KHudaa

    ne'mat-e-kubraa vilaadat hai shah-e-abraar kii

    shaafa-e-mahshar habiib-e-kibriyaa KHatmur-rusul

    hai sar-e-sarvar se izzat turra-o-dastaar kii

    hamd-e-KHaaliq mid.hat-e-mahbuub hai ahl-e-KHirad

    suurat-e-taariif-e-rab bas na.at hai sarkaar kii

    naqsh-e-avval mustafaa hai.n aur rab naqqaash hai

    naqsh par a.ngulii uThii tanqiis hai fankaar kii

    do jahaa.n me.n kaamyaabii kaa tariiqa hai yahi

    kiijiye taariif apne rab ke us shahkaar kii

    hashr me.n hai kursii-e-mahmuud kis kii milkiyyat

    aur huval-hamd hai tauqiir kis darbaar kii

    kis ko hai izn-e-shifaa't naaqidaan-e-mustafaa

    shaan hai qaal-savaaban kis amaanat-daar kii

    KHaatam-e-kul ambiyaa rab ne pukaaraa naam se

    murtad-o-kazzaab kii haTdharmii hai be-kaar kii

    'saaqib'-e-chishtii kaa rab Gaffaar hai rahmaan hai

    hashr me.n qahhaariyat taqdiir hai inkaar kii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now