talaash-e-na.at kii siine me.n justujuu rakh lii

vafuur-e-mid.hat-e-suruur ne aabruu rakh lii
dil-o-dimaaG mo.attar mashaam jaan-e-'abiir
dar-e-rasuul se palTe to us kii buu rakh lii
kabhii hu.aa thaa karam paa-e-naaz par bosa
sau ham ne qalb me.n tasviir huu-ba-huu rakh lii
khule.nge jis pe sadaa Gu.ncha-haa-e-madh-e-nabii
azal me.n ham ne vo ik shaaKH-e-aarzuu rakh lii
azal me.n luTne lage jab kHazaa.in-e-fitrat
to jins-e-ishq-e-nabii ham ne baa-vazuu rakh lii
sharaab-e-ishq-e-mohammad kii baat jab aa.ii
uThaa ke dosh pe KHum farq par subuu rakh lii
baraa-e-zikr-e-nabii ham ne rab kii marzii se
qalam zabaan dahan shaan-e-guftuguu rakh lii
dar-e-nabii pe kahii.n ham ne be-hisaab na.uut
baraa-e-mid.hat-e-sarvar rag-e-numuu rakh lii
shafii.a roz-e-jazaa kii shafaa.at-e-kubraa
ataa ho is liye tabii.at hii hiila jo rakh lii
kahaa ki ahd-e-ravaa.n me.n Gulaam hai.n kitne
to ham ne apnii hii tasviir kuu-ba-kuu rakh lii
na jaane kaun se raste se ho guzar un kaa
ye baat soch ke biinaa.ii suu-ba-suu rakh lii
kisii kii e.Dii raga.D ne se aab ho jaarii
mere rasuul ne haatho.n me.n mauj jo rakh lii
jahaa.n me.n KHatm-e-nubuvvat kii paasdaarii ko
milaa jo izn to ba.Dh kar rag-e-guluu rakh lii
daroG-baaf-e-nubuvvat kii qaum-e-kaazib par
jo barq ban ke gire is tarah kii KHuu rakh lii
baraa-e-sub.h-e-qiyaamat janaab 'saaqib' ne
Gazal ko tark kiyaa na'at-e-mushk-buu rakh lii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.