Sufinama

sulaimaa.n naam paayaa auj bakHt-o-sad sa.aadat se

Saqib Khairabadi

MORE BYSaqib Khairabadi

    Interesting Fact

    منقبت در شان پیر پٹھان خواجہ محمد سلیمان تونسوی (تونسہ۔پنجاب)

    sulaimaa.n naam paayaa auj bakHt-o-sad sa.aadat se

    banaa shahbaaz-e-laa-saanii tahaarat kii lataafat se

    chamak tasviir-e-imkaa.n me.n tire ruKH kii sabaahat se

    namak har shai me.n paataa huu.n tirii kaan-e-malaahat se

    tasavvur kii rehl par hai tirii tasviir juu.n mus.haf

    tilaavat kar rahaa huu.n mai.n tire ruKH kii iraadat se

    adaa-e-dilbarii aisii ke paikaa.n ban ga.e mizhgaa.n

    KHam-e-abru kamaa.n jaise khi.nchii dilbar kii chaahat se

    shakar-lab kHanda-e-namkii.n KHumaar-e-mai-kashaa.n sar-e-KHam

    KHajil sarv-e-ravaa.n paayaa tire qad kii vajaahat se

    vo gul-ruKH nargisii.n aa.nkhe.n vo zulf-e-ambarii.n terii

    jhukii nazre.n liye phirtaa hai aahuu ik KHajaalat se

    nazaakat aur surKHii nazar karataa hai gul-e-laala

    lab-e-naazuk mubaariz hai.n gulaabo.n kii nazaakat se

    qalam faKHr-e-jahaa.n ne de ke tujh ko dii jahaa.nbaanii

    nigaah-e-qiblaa-e-aalam ne taraashaa kis nafaasat se

    sulaimaanii tujhe zebaa jahaa.nbaanii tirii mohkam

    zamaane jhuk ke milte hai.n tire murG-e-sa.aadat se

    KHushaa mor-e-sulaimaanii shahiir-e-ilm-e-irfaanii

    salaamii tujh ko dete hai.n parinde bhii fasaahat se

    naqiib-e-ishq terii zaat aalii-shaan ko paayaa

    tire malfuuz ruud-e-ishq ulfat kii haraarat se

    qalam-kash ho.n ataa-e-shah-e-sulaimaa.n se be-hamdillaah

    Gizaa miltii hai ruuhaanii manaaqib kii ishaa.at se

    shumaal un kaa junuub un kaa samaa.ae kHairbaab un kaa

    avadh taabaa.n dakan raKHshaa.n tirii sham’-e-hidaayat se

    mashaaariq aur maGaarib me.n ujaalaa ilm-o-irfaa.n kaa

    ziyaa-e-shams aur nuur qamar terii inaayat se

    manaaqib munfarid lahje me.n nudrat KHush maqaalii bhii

    navaazaa fikr ko merii KHudaa ne kaisii raahat se

    kushaada daaman-e-fikr-o-nazar ho jaa.e aasii kaa

    qavaafii khii.nch lete hai.n ye daaman puurii taaqat se

    ba.Dii tauqiir-o-izzat hai bayaa.n karnaa tirii mid.hat

    qalam 'saaqib' ne paayaa hai tire lutf-o-kraamat se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now