najaf kaa baadshaa hai aur mai.n huu.n
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)
najaf kaa baadshaa hai aur mai.n huu.n
dar-e-mushkil-kushaa hai aur mai.n huu.n
ye hasrat hai najaf jaa kar kahuu.n mai.n
miraa haajat-ravaa hai aur mai.n huu.n
ye farmaayaa nabii ne bahr-e-haidar
'alii nuur-e-KHudaa hai aur mai.n huu.n
kahaa as.haab se apne nabii ne
'alii kHair-ul-varaa hai aur mai.n huu.n
miraa aaqaa aamiirul-mu.minii.n hai
abuu-zar kii sadaa hai aur mai.n huu.n
lahad me.n merii zulmat Gair mumkin
'alii shamsuzzuhaa hai aur mai.n huu.n
kahegaa qabr me.n saqalain ahmad
'alii saa peshvaa hai aur mai.n huu.n
najaf kaa baadshaa hai aur mai.n huu.n
dar-e-mushkil-kushaa hai aur mai.n huu.n
ye hasrat hai najaf jaa kar kahuu.n mai.n
miraa haajat-ravaa hai aur mai.n huu.n
ye farmaayaa nabii ne bahr-e-haidar
'alii nuur-e-KHudaa hai aur mai.n huu.n
kahaa as.haab se apne nabii ne
'alii kHair-ul-varaa hai aur mai.n huu.n
miraa aaqaa aamiirul-mu.minii.n hai
abuu-zar kii sadaa hai aur mai.n huu.n
lahad me.n merii zulmat Gair mumkin
'alii shamsuzzuhaa hai aur mai.n huu.n
kahegaa qabr me.n saqalain ahmad
'alii saa peshvaa hai aur mai.n huu.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.