sar se paa tak lag rahe hai.n mazhar-e-anvaar se

huu-ba-huu hai.n mire vaaris sayyad-e-abraar se
duur hai.n duniyaa ke Gam se aur har aazaar se
jin kii aa.nkhe.n hai.n musharraf aap ke diidaar se
jin ko haasil hai huzuurii nisbat-e-sarkaar se
vo guzar jaate hai.n har ek manzil-e-dushvaar se
ye dar-e-vaaris hai miltaa hai yahaa.n had se sivaa
aa.e ko.ii maa.ng kar dekhe mere sarkaar se
aap ke qadmo.n pe sar ho ruuh jab parvaaz ho
hai 'rashiid-e-vaarsii' kii aarzuu sarkaar se

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 186)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.