saraapaa hai ye allaah kaa zaraa dekho mohammad ko

Aashiq Hyderabadi
MORE BYAashiq Hyderabadi
saraapaa hai ye allaah kaa zaraa dekho mohammad ko
yahii hai zaat kaa jalva zaar dekho mohammad
jo banda hai vo hai maulaa jo KHaaliq hai vo hai maKHluuq
musavvir KHud banaa naqsha zaraa dekho mohammad ko
kalaam-ul-laah ko samjho zabaa.n se kis kii niklaa hai
suno jibriil kaa kahnaa zaraa dekho mohammad ko
ta.ashshuq se KHud apne hii ahad ahmad banaa hai yahaa.n
uThaa kar miim kaa pardaa zaraa dekho mohammad ko
sifaat-e-zaat kaa jaame.a 'ilm-e-haq kaa jo kahlaayaa
yahii hai barzaKH-e-kubraa zaraa dekho mohammad ko
kahaa.n be-jism hai ism ab nishaan se shaan hai paidaa
KHudaa kaa KHaas hai chehraa zaraa dekho mohammad ko
banaa hai rab jo kaa'ba kaa madiina me.n vahii hai abad
hai shaan-e-yasrib-o-bathaa zaraa dekho mohammad ko
ta’ayyun aage ahmad ke nahii.n hai kuchh nazar kar lo
jo KHvaahaa.n haq kaa hai diida zaraa dekho mohammad ko
hai saarii kaa.inaat us kii kahuu.n is se ziyaada kyaa
tasavvur kar ke tum achchhaa zaraa dekho mohammad ko
mu'iinuddiin ke 'aashiq se samajh lo bhed-e-'irfaa.n kaa
agar tum haq ke ho juuyaa zaraa dekho mohammad ko

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.