Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

andaaz-e-navaazish ye saKHaavat hii alag hai

Sarfaraz Ahmad Mazaq

MORE BYSarfaraz Ahmad Mazaq

    andaaz-e-navaazish ye saKHaavat hii alag hai

    ai yaar mire terii 'inaayat hii alag hai

    'uqbaa kaa ko.ii KHauf na duniyaa kaa Dar mujhe

    mere sanam kii mujh pe qayaadat hii alag hai

    rizvaa.n tirii jannat kii haqiiqat to sahii hai

    mahbuub ke rauze kii ziyaarat hii alag hai

    bikhrii hu.ii hai har suu jo nuuraanii fazaa.e.n

    darbaar-e-faziilat kii to ra.ngat hii alag hai

    sar par biThaa rahe hai.n mujhe log is liye

    andaaz miraa terii badaulat hii alag hai

    ai 'sarfaraaz' chuum ke ba.Dh kar dar-e-jaanaa.n

    kahtaa hai zamaana tirii nisbat hii alag hai

    Source :
    • Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 270)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now