sarmaaya gunaaho.n kaa mire paas bahut hai

Ishtiyaque Alam Shahbazi
MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi
sarmaaya gunaaho.n kaa mire paas bahut hai
yaa-rab mujhe is baat kaa ehsaas bahut hai
mahruum hai taufiiq-e-itaa’at se miraa dil
is KHaana-e-viiraan me.n iflaas bahut hai
sach hai ki tire 'afv ke qaabil bhii nahii.n huu.n
phir bhii tirii rahmat kii mujhe aas bahut hai
in KHushk nigaaho.n ko hii paimaana banaa de
mai.n dard kaa sahraa huu.n mirii pyaas bahut hai
ye jaan ke laayaa huu.n mohammad kaa vasiila
mahbuub kii nisbat kaa tujhe paas bahut hai
mehmiiz lagaataa hai jo har ek KHataa par
hai shukr tiraa dil miraa ehsaas bahut hai
ai mere KHudaa mere KHudaa sun le 'ziyaa' kii
be-aab munaajaat kaa almaas bahut hai

- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.