Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

musaddas darbaar-e-rasuul me.n

Seemab Akbarabadi

musaddas darbaar-e-rasuul me.n

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    iika! sarkaar ba.Dii hai tirii sarkaaro.n me.n

    tere darbaar kii raunaq hai talab-gaaro.n se

    rabt hai jazba-e-rahmat siyah-kaaro.n se

    tujhe bachpan se mohabbat hai gunahgaaro.n se

    lab pe is ummat-e-maGmuum kii ruudaad rahii

    mahd-e-maadar me.n bhii ummat kii tujhe yaad rahii

    vahii ummat jise KHair-e-umam kahte hai.n

    aaj hai morid-e-bedaad-e-alam kahte hai.n

    us pe arzaa.n hai jise log sitam kahte hai.n

    haal us kaa nahii.n ma.aluum to ham kahte hai.n

    saKHt rusvaa.ii hai tadbiir agarche na hu.ii

    phirnaa kahnaa ki hame.n us kii KHabar kuchh na hu.ii

    ai tirii shaan-e-kariimii pe ye ummat ho nisaar

    kyaa ye paiGaam rahe.nge yuu.nhii saare be-kaar

    is se pahle to na thaa ye terii rahmat kaa shumaar

    be-asar baat kaa thaa mu.nh se nikalnaa dushvaar

    muttasil baab-e-ijaabat kaa kahaa jaataa hai

    piichhe jaatii thii du.aa pahle asar aataa thaa

    nahii.n ma.aluum ki sarkaar hai.n masruuf kidhar

    faisla arzii-e-ummat kaa nahii.n madd-e-nazar

    apnaa ye haal ki har-vaqt hai haalat bad-tar

    shab guzartii hai to hotii nahii.n ummiid-e-sahar

    us dar-e-faiz se ummiid ba.ndhii rahtii hai

    aur madiina kii taraf aa.nkh lagii rahtii hai

    hame.n qismat ne kiyaa be-zor dabe par aisaa

    laa.e ham maa.ng ke KHaaliq se muqaddar aisaa

    kar diyaa hai hame.n adbaar ne muztar aisaa

    aap dekhe.n to kahe.n haal hai abtar aisaa

    kisii pahluu me.n vo ummiid-bharaa dil na rahaa

    ab ye afsaana sunaane ke qaabil bhii na rahaa

    yaa-nabii ab to ho lillaah inaayat kii nazar

    ba.Dh chalii had se ziyaada KHalish-e-zaKHm-e-jigar

    haal ye hai ki hu.aa dahr me.n jiinaa duubhar

    quvvat-e-zabt hai imkaa.n sukuu.n se baahar

    kashmakash ra.ng anokhaa ko.ii laa.e na kahii.n

    dil-e-be-taab ta.Dap kar nikal aa.e na kahii.n

    ye vo darbaar hai hai.n jis ke mu.akkil jibra.iil

    aur munaadii hai.n jah.n aaTh-pahar israafiil

    musta.id KHidmat-e-taqsiim pe hai.n mikhail

    maut kii dete hai.n dushman ko sazaa izraa.iil

    hai.n umar qasr-e-risaalat kii vazaarat ke liye

    aur siddiiq gunaaho.n kii vakaalat ke liye

    ye vo darbaar hai jis kii nahii.n duniyaa me.n appeal

    faisla us kaa KHudaa bhii nahii.n karataa tabdiil

    aap hii ummat-e-aasii ke hai.n vallaah kafiil

    laqab-e-ahmad-e-muKHtaar hai KHud is kii daliil

    aap ke haatho.n me.n daftar hai siyah-kaaro.n kaa

    iKHtiyaar aap ko hai apne gunahgaaro.n kaa

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 116)
    • Publication : Fine Book Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now