mai.n ne puuchhaa husn se ki dekhaa hai kahii.n

Shabbir Sajid Mehrvi
MORE BYShabbir Sajid Mehrvi
mai.n ne puuchhaa husn se ki dekhaa hai kahii.n
merii sarkaar saa hasii.n
husn ne kahaa dilbarii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
valiyo.n se javaab un kaa puuchhaa nabiyo.n me.n misaal un kii Dhuu.nDii
qudsiyo.n kii anjuman me.n mai.n ne ’azmat-e-jamaal un kii Dhuu.nDii
puuchhaa jibra.iil se ki dekhaa hai kahii.n aisaa shaah-e-naaznii.n
bolaa jibra.iil zaat-e-haq kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
yuu.n hai kaa.inaat me.n madiina jaise ho a.nguuThii me.n nagiina
us galii ke zarre vo hai.n
jin se zau-fishaa.n hai mehr-o-maah kaa siina
mai.n ne puuchhaa arsh se ki dekhii hai kahii.n madiine sii zamii.n
'arsh ne kahaa bartarii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
laa-makaa.n ke makiin hai.n jo ik chataa.ii un kaa hai bichhaunaa
do jahaa.n ke taajdaar ho kar phir bhii farsh-e-KHaak par hai sonaa
puuchhaa faqr se ki dekhaa aisaa shah-e-dii.n jo ho boriyaa-nashii.n
faqr ne kahaa saadgii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
aadmii ko aadmii banaayaa falsafa hayaat kaa sikhaayaa
Duubte safiina jahaa.n ko saahil-e-muraad par lagaayaa
mai.n ne puuchhaa KHizr se falak ho yaa zamii.n aisaa haadii hai kahii.n
KHizr ne kahaa raahbarii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
zulfe.n hai.n mere huzuur kii yaa rahmato.n kii surma.ii ghaTaa.e.n
gesu.o.n ke pech kah rahe hai.n ham hii mujrmo.n kii hai.n panaahe.n
mai.n ne puuchhaa raat se ki dekhii hai.n kahii.n aisii zulf-e-'ambarii.n
raat ne kahaa zulf hii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
lab mere huzuur ke hai.n aise bhiik jin kii laa'l hai.n yaman ke
surKHii aur taazgii na puuchho paanii paanii phuul hai.n chaman ke
mai.n ne puuchhaa phuul se o baaG ke makii.n dekhe aise lab kahii.n
phuul ne kahaa pa.nkhu.Dii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
abruu hai.n ki manzil-e-danaa hai chehra hai ki sharah-e-vazzuhaa hai
husn hai vo shaah-e-dil-baraa.n kaa aap jis pe zaat-e-haq fidaa hai
mai.n ne puuchhaa 'ishq se ki dekhaa hai kahii.n aisaa husn-e-dil-nashii.n
'ishq ne kahaa 'aashiqii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
taabish-e-rukH-e-huzuur hai vo mehr-o-maah jis ke hai.n bhikaarii
din ko aaftaab-e-ruKH pe sadqe raat ko qamar hai us pe vaarii
mai.n ne puuchhaa nuur se ki dekhaa hai kahii.n aisaa 'aariz-e-mubii.n
to nuur ne kahaa raushnii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
qaamat salaat kii sadaa.e.n qaamat huzuur kii hai.n dhuume.n
qad vo hai ki shaakH-haa-e-tuubaa zikr jis kaa chhe.D kar ke jhuume.n
mai.n ne puuchhaa sarv se ki dekhii hai kahii.n aisii qaamat hasii.n
to sarv ne kahaa sarvarii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n
ai kushaa kamaal-e-mustafaa jalva-gar hai zaat-e-kibriyaaz.ii
vo dar-e-huzuur hai ai 'saajid' sajda-rez hai jahaa.n KHudaa.ii
puuchhaa mai.n ne jab ki tuu ne dekhaa ai jabii.n aisaa aastaa.n kahii.n
bolii yuu.n jabiin-e-bandagii kii qasam nahii.n nahii.n nahii.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.