shafii'-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
shafii'-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
shah-e-ambiyaa kii hai aaj aamad aamad
ye Gul aasmaa.n par hai huur-o-malak me.n
habiib-e-KHudaa kii hai aaj aamad aamad
mo.addab hai.n istaada huur-o-malaa.ik
shah-e-dosaraa kii hai aaj aamad aamad
hu.aa jis ke baa.is zuhuur-e-do-'aalam
usii peshvaa kii hai aaj aamad aamad
yahii hukm-e-KHaaliq sunaataa hai haatif
rasuul-e-KHudaa kii hai aaj aamad aamad
munavvar do-'aalam hu.e nuur-e-haq se
amiin-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
zamii.n ko hu.aa faKHr 'arsh-e-barii.n par
nabii-ul-'olaa kii hai aaj aamad aamad
malaa.ik falak se hai.n aa.e zamii.n par
shah-e-mustafaa kii hai aaj aamad aamad
muzayyan hu.ii KHatt-e-Gufraa.n se ummat
kariimussujaa kii hai aaj aamad aamad
salaamun salaamun nidaa aa rahii hai
ki shamsuzzuhaa kii hai aaj aamad aamad
hu.aa paak zulmat se aafaaq saaraa
ki badruddujaa kii hai aaj aamad aamad
pa.Dho mominiin dil se salli-o-sallim
ki nuurul-hudaa kii hai aaj aamad aamad
ye laazim hai 'mukHlis' tuu kar jaan qurbaa.n
nabii-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
shafii'-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
shah-e-ambiyaa kii hai aaj aamad aamad
ye Gul aasmaa.n par hai huur-o-malak me.n
habiib-e-KHudaa kii hai aaj aamad aamad
mo.addab hai.n istaada huur-o-malaa.ik
shah-e-dosaraa kii hai aaj aamad aamad
hu.aa jis ke baa.is zuhuur-e-do-'aalam
usii peshvaa kii hai aaj aamad aamad
yahii hukm-e-KHaaliq sunaataa hai haatif
rasuul-e-KHudaa kii hai aaj aamad aamad
munavvar do-'aalam hu.e nuur-e-haq se
amiin-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
zamii.n ko hu.aa faKHr 'arsh-e-barii.n par
nabii-ul-'olaa kii hai aaj aamad aamad
malaa.ik falak se hai.n aa.e zamii.n par
shah-e-mustafaa kii hai aaj aamad aamad
muzayyan hu.ii KHatt-e-Gufraa.n se ummat
kariimussujaa kii hai aaj aamad aamad
salaamun salaamun nidaa aa rahii hai
ki shamsuzzuhaa kii hai aaj aamad aamad
hu.aa paak zulmat se aafaaq saaraa
ki badruddujaa kii hai aaj aamad aamad
pa.Dho mominiin dil se salli-o-sallim
ki nuurul-hudaa kii hai aaj aamad aamad
ye laazim hai 'mukHlis' tuu kar jaan qurbaa.n
nabii-ul-varaa kii hai aaj aamad aamad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.