maujib-e-fakHr-e-zamii.n hai bazm-e-miilaadunnabii

Shah Abdul Qadir Badayuni
MORE BYShah Abdul Qadir Badayuni
maujib-e-fakHr-e-zamii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
rashk-e-fidaus-e-barii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
hote hai.n KHush ahl-e-iimaa.n sun ke aa.n-hazrat kaa zikr
baa'is-e-ahkaam-e-dii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
bhaagtaa hai zikr se hazrat ke shaitaa.n duur duur
raGm-e-shaitaan-e-la’ii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
dost rakhtaa hai nabii ke zikr ko be-shak KHudaa
marzii-e-haq bil-yaqii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
diin aur duniyaa ke maqsad milte hai.n us ke tufail
momino hablul-matii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
taaj-e-'usr-e-dii.n-o-duniyaa hai ye bazm-e-pur-ziyaa
mulk-e-iimaa.n kaa nagii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
kab guzar paa.e balaa us ghar me.n ho.n jis me.n ye bazm
vaah kyaa hisn-e-hasii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
zikr par hazrat kii hai huur-o-malak kii jaa.n-fidaa
habbazaa ai kyaa dil-nashii.n hai bazm-e-miilaadunnabii
barakat-e-zikr-e-rasuulullaah ho kis se bayaa.n
Gam-zadaa-e-har hazii.n hai bazm-e-miilaadunnabii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.