Gam-e-duurii se huu.n naashaad yaa mahbuub-e-sub.haanii

Shah Abdul Qadir Badayuni
MORE BYShah Abdul Qadir Badayuni
Interesting Fact
منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
Gam-e-duurii se huu.n naashaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
zaraa san lo mirii fariyaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
tirii qadmo.n ko hukm-e-haq se apne sar par rakhte the
sabhii aqtaab aur afraad yaa mahbuub-e-sub.haanii
laqab Gaus-e-do 'aalam hai tiraa saare zamaana me.n
mujhe bhii Gam se kar aazaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
kyaa inkaar jis ne aap kii taqdiim se shaahaa
hu.aa fil-faur vo barbaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
tire hii dam-qadam se rashk-e-baaG-e-kHuld hai be-shak
fizaa-e-hazrat baGdaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
fanaa kar yaad me.n apnii mujhe aisaa ki terii hii
rahe aaTho.n pahar bas yaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
nahii.n hai KHauf kuchh mujh ko sunaa jab se kiyaa tum ne
muriidii laa-takHaf irshaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
bachaa lo mujh ko mere Gaus-e-aa'zam hisbatan-lillaah
za shar fitna-e-husaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
Gulaam-e-KHaandaanii huu.n ki tere dar ke KHaadim the
mire vaalid mire ajdaad yaa mahbuub-e-sub.haanii
rahe.n fazl-o-karam se tere har dam kHurram-o-shaadaa.n
mire ahbaab aur aulaad yaa mahbuub-e-sub.haanii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.