naa't se us shaah kii 'aajiz mirii taqriir hai

Shah Abdul Qadir Badayuni
MORE BYShah Abdul Qadir Badayuni
Interesting Fact
منقبت درشانِ اہلِ بیت کرام۔
naa't se us shaah kii 'aajiz mirii taqriir hai
jaa-bajaa jis kii sifat qur.aa.n me.n KHud tahriir hai
har nabii kaa hukm un kii qaum par maKHsuus thaa
rahmat-e-'aalam kaa hukm-e-’aam ’aalam-giir hai
har kitaab-e-aasmaanii hai mubashshir aap kii
har nabii se KHair-maqdam kii hu.ii tabshiir hai
saahab-e-qausain hai.n aur taajdaar-e-maa ramiit
un kii musht-e-KHaak se sharminda teG-o-tiir hai
hai nubuvvat aap kii sab ambiyaa se peshtar
hikmat-e-haq se hu.ii iz.haar me.n taaKHiir hai
aap se suu-e-adab se sab 'amal hote hai.n habt
aaya-e-laa-tajharuu me.n haq ne kii tah.ziir hai
naa't-e-shaah-e-dii.n me.n aanaa mad.h-e-ahl-e-bait kaa
ahl-e-haq ke haq me.n lazzat-baKHsh qand-o-shiir hai
kyaa likhe tausiif banda ahl-e-bait-e-paak kii
shaan me.n jin kii ki naazil aaya-e-tat.hiir hai
hogii jab jannat ko jaa.e.ngii janaab-e-sayyada
band chashm-e-ahl-e-mahshar vaah kyaa tauqiir hai
biz'’tun minnii hai farmaayaa rasuulullaah ne
juz ko Gair kal samajhnaa vahm kii tazviir hai
laa fataa illaa 'alii laa saif illaa zulfiqaar
vo KHudaa kaa sher-o-shaah-e-dii.n kii ye shamshiir hai
shahr-e-'ilm-e-dii.n nabii hai.n baab hai.n maulaa 'alii
mus.haf-e-naatiq hai.n har har baat par taasiir hai
hai kamaal-e-zaahir-e-iimaa.n kaa aglo.n se zuhuur
mulk-e-baatin par 'alii kaa qabza-e-taskHiir hai
kuhl-e-chashm-e-auliyaa hai KHaak-paa-e-buu-turaab
aastaa.n kaa un kii har zarra ba-az iksiir hai
siirat-e-sibtain hai siirat rasuulullaah kii
un kii suurat bhii rasuulullaah kii tasviir hai
dono.n sultaan-e-javaanaan-e-jinaa.n hai.n be-gumaa.n
un kaa 'aashiq jaan-o-dil se har javaan-o-piir hai
hai KHataa KHushbuu ko un kii gar likhuu.n mushk-e-KHutan
us me.n raihaan-e-nabii kii sar-ba-sar tahqiir hai
dosh-e-ahsan par rasuulullaah ke hasan-o-husain
jalva-e-nuurun 'alaa nuurin kii ik tanviir hai
raakib-e-dosh-e-nabii kaa aah sar neze pe ho
vaah vaa sardaari-e-jannat kii kyaa tadbiir hai
dekho shaan-e-kibriyaa tiiro.n kaa baaraa.n hai udhar
aur idhar allaahu-akbar naara-e-takbiir hai
raah-e-haq me.n kar diyaa sajde me.n qurbaa.n apnaa sar
aisii vasjud-vaqtarib kii kis ne kii tafsiir hai
sibt-e-sibtain-e-nabii hai Gaus-e-aa'zam bil-yaqii.n
jumla piiraan-e-salaasil kaa vo be-shak piir hai
hai fidaa-e-ahl-e-bait-o-mukHlis-e-ashaab-e-paak
kyaa 'faqiir'-e-qaadirii bhii vaah KHush-taqdiir hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.