Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yaa nabii dikhlaa.iye mukh.Daa KHudaa ke vaaste

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    yaa nabii dikhlaa.iye mukh.Daa KHudaa ke vaaste

    ek jalva apne husn-e-dilrubaa ke vaaste

    kyaa karuu.ngaa nazr-e-kHaaliq roz-e-mahshar me.n Gariib

    aap kii tasviir le jaa.uu.n KHudaa ke vaaste

    aisii aaluuda nigaaho.n ko vahaa.n kab baar hai

    aur aa.nKHe.n hai.n jamaal-e-mustafaa ke vaaste

    haq kaa juuyaa hai agar tuu us ko mulk-e-dil me.n Dhuu.nD

    aap se baahar na jaa is mudda.aa ke vaaste

    suurat-e-ka.aba nikal jaa.e.n yahaa.n se bhii ye but

    hai makaan-e-dil shah-e-har duusraa ke vaaste

    ek din bhii to na kii ham se buto.n ne ko.ii baat

    baarhaa ham ne diye un ko KHudaa ke vaaste

    ka.aba-e-dil paak kar rakhaa hai mai.n ne yaa nabii

    mehmaa.n ho aap hii saa is saraa ke vaaste

    KHaake-naalain-e-shah-e-dii.n haath aa jaa.e agar

    ho vo surma diida-e-dil kii ziyaa ke vaaste

    sab usii ke vaaste hai.n jis qadar hai.n aafate.n

    aadmii paidaa hu.aa ra.nj-o-balaa ke vaaste

    aadmii huu.n merii asliyat hai 'akbar' bhuul-chuuk

    hai KHataa mere liye mai.n huu.n KHataa ke vaaste

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 280)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now