haram se safar aap kaa ho rahaa hai
haram se safar aap kaa ho rahaa hai
hujuum-e-malak jaa-ba-jaa ho rahaa hai
yahaa.n hai.n malaa.ek vahaa.n hai.n malaa.ek
takalluf ba.Daa jaa-ba-jaa ho rahaa hai
chalii hai savaarii habiib-e-KHudaa kii
ajab shor salle-alaa ho rahaa hai
zamii.n ho ga.ii arsh-e-a.azam se uu.nchii
farishto.n me.n ye tazkira ho rahaa hai
palaT kar huzuur aa.gaye shab kii shab me.n
yahii zikr hairat-fazaa ho rahaa hai
bajaa laa KHudaa kaa tu shukr aaj 'akbar'
ki tujh par bhii fazl-e-KHudaa ho rahaa hai
haram se safar aap kaa ho rahaa hai
hujuum-e-malak jaa-ba-jaa ho rahaa hai
yahaa.n hai.n malaa.ek vahaa.n hai.n malaa.ek
takalluf ba.Daa jaa-ba-jaa ho rahaa hai
chalii hai savaarii habiib-e-KHudaa kii
ajab shor salle-alaa ho rahaa hai
zamii.n ho ga.ii arsh-e-a.azam se uu.nchii
farishto.n me.n ye tazkira ho rahaa hai
palaT kar huzuur aa.gaye shab kii shab me.n
yahii zikr hairat-fazaa ho rahaa hai
bajaa laa KHudaa kaa tu shukr aaj 'akbar'
ki tujh par bhii fazl-e-KHudaa ho rahaa hai
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 162)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.