Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyaa intishaar ab hame.n radd-o-qubuul kaa

Shah Akbar Danapuri

kyaa intishaar ab hame.n radd-o-qubuul kaa

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kyaa intishaar ab hame.n radd-o-qubuul kaa

    daaman hai apne haath me.n aal-e-rasuul kaa

    jalva du.aa me.n hai jo ye husn-e-qubuul kaa

    naala hu.aa buland kisii dil maluul kaa

    allaah aur us kaa habiib ek hii to hai.n

    matlab khulaa hu.aa hai atiiurrasuul kaa

    qur.aan bhii zabaan-e-nabii hai hadiis bhii

    jo hukm hai KHudaa kaa vahii hai rasuul kaa

    pahle hai jazb aur sulūk us ke ba.ad hai

    ye raasta uruuj kaa hai vo nuzuul kaa

    'akbar' zabaan par nahii.n aataa jo dil me.n hai

    paaband huu.n zavaabit-e-ahl-e-usuul kaa

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 27)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now