mujh pe karam hu.aa mere rabb-e-jaliil kaa

Shah Taqiuddin Maneri
MORE BYShah Taqiuddin Maneri
mujh pe karam hu.aa mere rabb-e-jaliil kaa
paanii piyaa jo misr me.n dariyaa-e-niil kaa
aab-e-hayaat kii sifat jis ke jaam me.n
mohtaaj jo nahii.n hai kisii qaal-o-qiil kaa
jis kii ravaanii dekh ke sharmaa.e mauj-e-yam
mashruub jo banaa hai janaab-e-KHaliil kaa
jis ko piyaa hai yuusuf kan'aan ne baar baar
shaffaaf aisaa ho ke gumaa.n salsabiil kaa
jis ne liyaa hai hazrat-e-muusaa ko god me.n
qur.aan me.n hai zikr hu.aa us daliil kaa
barakat hai ye payaam ummat kii suno to 'taqii'
jaarii hai faiz aaj bhii dariyaa-e-niil kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.