jalva-e-shaah-e-arab hai jalva-e-baabaa fariid
Interesting Fact
منقبت درشان گنج شکر حضرت فریدالدین مسعود (پاک پتن۔پنجاب)
jalva-e-shaah-e-arab hai jalva-e-baabaa fariid
is liye rashk-e-qamar hai chehra-e-baabaa fariid
haq-numaa haq-go haqiiqat-aashnaa haq kii bahaar
suura-e-iqraa se raushan kHaama-e-baabaa fariid
hai.n vahiid-e-asr shahbaaz-e-tariiqat zii-vaqaar
arsh taa-farsh zamii.n hai shahraa-e-baabaa fariid
qutub-e-aalam shaikH-e-aazam hai.n imaam-ul-aarifiin
ma.arifat kaa hai KHaziina siina-e-baabaa fariid
taaj pak.De auliyaa dekhaa kiye rutba huzuur
kis qadar a.alaa hai be-shak darja-e-baabaa fariid
shaiKH kahte hai.n ki shaiKH asr hai meraa fariid
hai lab qutub-e-zaman par kHutba-e-baabaa fariid
aaftaab-e-diin-o-sunnat hai.n imaam-ul-aashiqiin
ishq sarkaar-e-madiina naGma-e-baabaa fariid
bhar diyaa karataa hai jholii aap kaa ko.ii faqiir
taajdaar-o-taajvar hai banda-e-baabaa fariid
hai fariid aastaana mushk-baar-o-nuur
kuucha-e-jannat hai goyaa kucha-e-baabaa fariid
hai tajalliyaat rabbaanii musalsal bar mazaar
ma.nba-e-anvaar-e-haq hai rauza-e-baabaa fariid
rah-e-fariid hai be-shak siraat-e-mustaqiim
raah-e-haq raah-e-hidaayat jaada-e-baabaa fariid
zindagii thii bandagii ke vaaste kaamil nisaab
hai ibaadat se ibaarat qissaa-e-baabaa fariid
qutub-e-dehlii ke hai.n pyaare hazrat-e-baabaa fariid
hai ataa-e-piir-o-murshid seGa-e-baabaa fariid
hai masarrat shaadmaanii KHuub hai fasl bahaar
nausha-e-bazm-e- tarab hai jalva-e-baabaa fariid
hazrat KHvaaja piyaa aur aa.e hai.n piiraan-e-chisth
jalva-gaah-e-auliyaa hai kHaana-e-baabaa fariid
qutub-e-dauraa.n le ke aa.e hai.n qabaa-e-be-misaal
nuur barsaataa havaa hai jo.Daa-e-baabaa fariid
sar pe hai nuurii amaama zaat-e-aqdas mushk-baar
baaG-e-jannat se hai aayaa sehra-e-baabaa fariid
hazrat saabir piyaa aur hazrat-KHvaaja nizaam
raqs me.n pa.Dhte hai.n mil kar sehra-e-baabaa fariid
mohinii suurat jo dekhii dil hu.aa shaad shaad
dil hai diivaana meraa bar-Gamza-e-baabaa fariid
saabir-e-kaliyar ke lab par hai yahii jumla mudaam
aasmaan se bhii hai a.alaa rutba-e-baabaa fariid
kii hai chaaliis saal tak rab kii ibaadat be-naziir
hai.n jahaa.n me.n misl-e-akHtar sajda-e-baabaa fariid
ho shakar dam me.n namak aur ho namak dam me.n shakar
uTh ga.ii jis vaqt yaaro chashma-e-baabaa fariid
Gaib se aa.e shakar zer-e-musalla-e-huzuur
is liye ga.nj-e-shakar hai tamGa-e-baabaa fariid
hai nishaan-e-haq ajodhan kii muqaddas sar-zamiin
qibla-gaah-e-aashiqaa.n hai qariya-e-baabaa fariid
daafi'-e-ranj-o-balaa mushkil-kushaa naam-e-fariid
aa.o mil kar ham lagaa.e.n na'ara-e-baabaa fariid
kaam aa.egaa yaqiinan hashr me.n naam-e-fariid
zariya'-e-bakHshish hai be-shak shajra-e-baabaa fariid
hai fariidii merii nisbat huu.n Gulaam ibn-e-Gulaam
hai gile 'shahbaaz' ke bhii Doraa-e-baabaa fariid

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.