amiir-e-ishq-o-vafaa hai.n be-shak imaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav

Shahbaz Asdaque
MORE BYShahbaz Asdaque
Interesting Fact
منقبت درشان طوطیٔ ہند حضرت امیر خسرو (دہلی۔ہندوستان)
amiir-e-ishq-o-vafaa hai.n be-shak imaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
nisaab-e-azmat-e-kitaab ulfat hai naam hazrat-e-amiir KHusrav
rah-e-mohabbat ke peshvaa hai.n jamaal-e-mahbuub-e-mustafaa hai.n
ba.Daa muqaddas buland-o-baalaa maqaam hazrat-e-amiir kHurav
jahaan-e-sh'er-o-sukhan ke aaqaa ho tuutii-e-hind miir KHusrav
imaam-e-she'r-o-sukHan hai be-shak kalaam hazrat-e-amiir KHusrav
muriid-e-KHusrav muraad ban kar nigaah-e-murshid me.n surkH-ruu hai.n
razaa-e-murshid hai bil-yaqii.n ibtisaam hazrat-e-amiir KHusrav
piyaa ko bhaayaa jamaal-e-KHusrav visaal-e-KHusrav
uruus-e-ulfat sadaa suhaagan hai naam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
vallii-e-kaamil nizaam-e-saanii saraapaa zaat-e-rasuul-e-akram
mashaam-e-jaa.n ko kare mo.attar payaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
khulaa hai mai-KHaana-e-mohabbat niazaam-e-nagrii me.n mai-kashii hai
pilaa rahe hai.n mai-e-mohabbat mudaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
piyaa hai jis ne bhii jaam-e-KHusrav milaa hai us ko nishaan-e-manzil
mai-e-mohabbat sharaab-e-ulfat hai jaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
saraapaa zaat-e-uvais-karnii janaab-e-hazrat-e-amiir KHusrav
jahaan-e-ishq-o-vafaa me.n hai ehtishaam-e-hazrat-e-amiir KHusrav
dayaar-e-mahbuub me.n hai.n haazir saraapaa naaz-o-niyaaz ban kar
dar-e-nizaamii pe hai musalsal salaam hazrat-e-amiir KHusrav
miraa ta.aaruf faqat yahii hai ke huu.n Gubaar dar-e-nizaamii
sadaa se 'shahbaaz' hai aziizo.n Gulaam hazrat-e-amiir KHusrav

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.