Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai sall-e-'alaa dil kii duniyaa kuchh aur hii paa.ii jaatii hai

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    ai sall-e-'alaa dil kii duniyaa kuchh aur hii paa.ii jaatii hai

    sarkaar-e-do-’aalam kii suurat aa.nkho.n me.n samaa.ii jaatii hai

    diivaano.n kaa jab ye 'aalam hai phir un kii kashish kaa kyaa kahnaa

    jis samt uThaate hai.n vo qadam us samt KHudaa.ii jaatii hai

    ai sarvar-e-dii.n ai haadii-e-kul ai maah-e-mubii.n ai KHatm-e-rusul

    vo aap kaa dar hai jis dar par taqdiir banaa.ii jaatii hai

    hotaa hai karam ke va.ado.n se soz-e-Gam furqat aur fuzuu.n

    ik aag bujhaa.ii jaatii hai ik aag lagaa.ii jaatii hai

    aashob-e-qiyaamat kyaa kahiye ha.ngaama-e-mahshar kyaa kahiye

    diid-e-shah-e-bat.haa kii KHaatir ye bazm sajaa.ii jaatii hai

    nazaaraa 'shakiil' aasaa.n hai agar ehsaas-e-'aqiidat KHaam na ho

    vo saamne KHud aa jaate hai.n jab aa.nkh uThaa.ii jaatii hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now