talab-o-junuu.n 'ataa kar mujhe ai sha-e-madiina

ki faroG-e-zindagii hai tirii aarzuu me.n jiinaa
mujhe tere dar kii hasrat thii maqaam-e-zaahirii tak
jo haTe.ii.n yahaa.n se nazre.n nazar aa gayaa madiina
qadam un ke chuumtaa hai ba-adab KHud aake saahil
jo bha.nvar me.n chho.Dte hai.n tire naam par safiina
jo nafs hai yaad-e-rab me.n jo qadam hai raah-e-haq me.n
tirii paak zindagii se ko.ii siikh le qariina
dar-e-haq kii justujuu me.n dar-e-mustafaa pe chaliye
ki hariim-e-’arsh-e-rab kaa dar-e-mustafaa hai ziina
jo nazar hai mutma.in hai jo nafas hai shaadmaa.n hai
vo 'shakiil' jaa rahaa hai ko.ii jaanib-e-madiina

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.