dil mubtalaa-e-ulfat-e-kHairul-anaam hai

haasil nafs nafs ko 'uruuj-e-davaam hai
'aalam tamaam sarf-e-daruud-o-salaam hai
shaayad mirii zabaa.n pe mohammad kaa naam hai
hijr-e-nabii ko gardish-e-dauraa.n se kyaa Garaz
duniyaa-e-aarzuu me.n sahar hai na shaam hai
KHam kyuu.n sar-e-niyaaz na ho tere hukm par
teraa jo hukm hai vo KHudaa kaa payaam hai
zaahid hai bazm-e-hashr me.n sharminda-e-'amal
rindaan-e-mustafaa me.n vahii shaGl-e-jaam hai
duniyaa kii daulato.n kii nahii.n aarzuu mujhe
mujh ko to sirf terii mohabbat se kaam hai
vallaah juzv-e-taa’at-e-haq hai tiraa KHayaal
jo tujh se duur ho vo 'ibaadat haraam hai
faiz-e-nabii se dasht bhii jannat hai ai 'shakiil'
kitnaa buland ahl-e-junuu.n kaa maqaam hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.