salaam un par shahiid-e-karbalaa kahte hai.n sab jin ko

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
salaam un par shahiid-e-karbalaa kahte hai.n sab jin ko
ziyaa-e-qalb-o-'ain-e-mustafaa kahte hai.n sab jin ko
jinho.n ne jaan de kar kar diyaa islaam ko zinda
hai jin kii yaad se ab tak KHudaa kaa naam taabinda
vo jin ke ’azm-e-mustahkam kaa hai charchaa zamaane me.n
vo jin kaa naam hai raushan KHudaa.ii kaar-KHaane me.n
vo jin ke KHauf se kaashaana-e-baatil larazte the
vo jin ke dabdabe se dushmano.n ke dil larazte the
vo jin kii ek Thokar se ravaa.n chashme ho.n kausar ke
rahe jo tiin din pyaase magar saa.e me.n KHanjar ke
unhii.n kii zaat-e-vaalaa baa.is-e-takmiil-e-iimaa.n hai
laqab jin kaa husain ibn-e-’alii shaah-e-shahidaa.n hai
na kyuu.n har haamii-e-diin-e-mubii.n bheje salaam un par
fidaa hai.n jaan-o-dil se jaan-o-dil vaale tamaam un par
yahii vo the jinho.n ne laaj rakh lii ahl-e-iimaa.n kii
ba.Dhaa dii dahr me.n tauqiir har mard-e-musalmaa.n kii
bilaa-shak 'aam insaano.n se hai uu.nchaa maqaam un kaa
zamaane ke liye daras mukammal hai payaam un kā
unho.n ne kar diyaa zaahir haqiiqat kis ko kahte hai.n
shahaadat kaa hai kyaa matlab shahaadat kis ko kahte hai.n
kabhii roke se tuufaan sadaaqat ruk nahii. saktaa
kisii kaa sar kisii insaa.n ke aage jhuk nahii.n saktaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.