Font by Mehr Nastaliq Web

vaqf the qudsii-e-azal se jin kii taa’at ke liye

Shakeel Badayuni

aa.e vo duniyaa me.n duniyaa kii hidaayat ke liye

TuuTe pa.Dte hai.n sitaare muntazir hai aaftaab

ehtiraam-e-aamad-e-sub.h-e-vilaadat ke liye

baa’is-e-taKHliiq-e-’aalam aap ha.ngaam-e-azal

aap shaayaan-e-mansab KHatm-e-risaalat ke liye

hai mohabbat un kii me’araaj-e-hayaat-e-jaavedaa.n

mar rahaa huu.n un pe takmiil-e-mohabbat ke liye

ho ga.ii duurii huzuurii KHvaab me.n aa.e huzuur

muztarib kab se nigaahe.n thii.n ziyaarat ke liye

sun ke mahshar me.n gunahgaaro.n ke naale ai 'shakiil'

vo maqaam-e-hamd se aa.e shafaa'at ke liye

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now