'aalam har ek 'aalam-e-bartar tumhii.n se hai

tum maz.har-e-KHudaa ho muqaddar tumhii.n se hai
taz.iin maaho-o-anjum-o-akHtar tumhii.n se hai
merii shab-e-firaaq munavvar tumhii.n se hai
phuulo.n me.n tum bahaaro.n me.n tum ra.ng-o-buu me.n tum
daamaan-e-rozgaar mo'attar tumhii.n se hai
tum ne sikhaa.e KHalq ko aadaab-e-zindagii
ye ehtimaam-e-masjid-o-mimbar tumhii.n se hai
tausiif kis zabaa.n se tumhaarii kare 'shakiil'
insaa.n kii zaat afzal-o-athar tumhii.n se hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.