zahe auj-e-nutq-e-kalaam-e-mohammad
zahe auj-e-nutq-e-kalaam-e-mohammad
payaam-e-KHudaa hai payaam-e-mahammad
KHushaa rif'at-o-ehtiraam-e-mohammad
hai 'arsh-e-barii.n zer-e-gaam-e-mohammad
mohabbat se sarshaar zarf-e-sadaaqat
sadaaqat se labrez jaam-e-mohammad
Gulaam aur aaqaa kii tamiiz mushkil
zahe haasil-e-faiz-e-'aam-e-mohammad
ilaahii ham arbaab-e-mehr-o-vafaa ko
'ataa kar vahii subh-o-shaam-e-mohammad
jahaa.n un ke qadmo.n se raushan hai lekin
buland az jahaa.n hai maqaam-e-mohammad
ye mahr-e-daraKHshaa.n ye maah-e-munavvar
farozaa.n hai husn-e-tamaam-e-mohammad
jabii.n falak ab bhii suu-e-zamii.n hai
ye hai Gaalibaan-e-ehtiraam-mohammad
ta.ayyun kii had se yaqiinan hai.n aage
jo nazre.n hai.n baalaa-e-baam-e-mohammad
masaa.ib me.n rah kar bhii kiyaa mutma.in hai
KHushaa fitrat shaad-kaam-e-mohammad
kahaa.n ham 'shakiil' aur kahaa.n na.at-go.ii
ye sab kuchh hai faiz-e-davaam-e-mohammad
zahe auj-e-nutq-e-kalaam-e-mohammad
payaam-e-KHudaa hai payaam-e-mahammad
KHushaa rif'at-o-ehtiraam-e-mohammad
hai 'arsh-e-barii.n zer-e-gaam-e-mohammad
mohabbat se sarshaar zarf-e-sadaaqat
sadaaqat se labrez jaam-e-mohammad
Gulaam aur aaqaa kii tamiiz mushkil
zahe haasil-e-faiz-e-'aam-e-mohammad
ilaahii ham arbaab-e-mehr-o-vafaa ko
'ataa kar vahii subh-o-shaam-e-mohammad
jahaa.n un ke qadmo.n se raushan hai lekin
buland az jahaa.n hai maqaam-e-mohammad
ye mahr-e-daraKHshaa.n ye maah-e-munavvar
farozaa.n hai husn-e-tamaam-e-mohammad
jabii.n falak ab bhii suu-e-zamii.n hai
ye hai Gaalibaan-e-ehtiraam-mohammad
ta.ayyun kii had se yaqiinan hai.n aage
jo nazre.n hai.n baalaa-e-baam-e-mohammad
masaa.ib me.n rah kar bhii kiyaa mutma.in hai
KHushaa fitrat shaad-kaam-e-mohammad
kahaa.n ham 'shakiil' aur kahaa.n na.at-go.ii
ye sab kuchh hai faiz-e-davaam-e-mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.